May 23, 2010

GOD AND THE DOORMAT....

GOD AND THE DOORMAT.....

roz ki tarah aj bhi subah k walk se ghar wapas aa rahi thi.apne flat k darwaze pe pahunchi to achanak nazar padi darwaze par pade purane doormat par.
"oho,fir isko badalna bhool gayi"khud se hi shikayat karte huey maine faisla kiya" aj yahi kaam karti hoon sabse pahle".chai peene ki icha ko thoda dabate
maine naye paavdaan ki khoj shuru kar di."kahan rakh diya?abhi 2 din pahle hi to khareeda hai bazar se?"thodi mehnat k baad wo naya doormat dikh gaya
mujhe.halki si smile ayi chehre pe aur maine us purane doormat ki jagah naye ko di. apni pasand ko mun hi mun saraha.wapas mudne hi wali thi ki ek awaz ne
mujhe chaunka diya..."hata do isko wahan se"?maine palatkar dekha.meri sasu maa shakal pe..YE KYA GAZAB KAR DIYA...wala bhv lekar mere peeche khadi
thi. "kya hua maa" "are bhagwan hain wahan.sabk pair padenge".bhagwan...!! doormat pe?!! mujhe laga jaise koi mazak kiya hai unhone.maien ashcharya se
doormat ki taraf dekha...kahan hain bhagwan aur 10 sec k ander hi mujhe bhagwan mil bhi gaye(azeeb baat hai kyun log apni sari zindagi bhagwan ko dhoondne main
laga dete hain).doormat pe bane galaxy print aur uspe bane muskurate huey sooraj ki tasveer ko mei sasu maa ne bhagwan maan liya tha.sooraj devta....!!
"oh,to ye hain bhagwan"sasu maa chali gayi apne mandir unk bhagwano ko khush karne aur main wahin khadi reh gayi.achanak vicharon ka jwalamukhi fut pada...

kya sach main ye sooraj ki tasveer main bhagwan hain?
jab har taraf bhagwan itni asani se milte hain to fir kyun aaj tak bhagwan ko koi dhoond nahin paya?
hum bhagwan ko dekh nahin sakte ya fir dekhna nahin chahte?
kyun hum nahin dekh pate bhagwan ko un hazaron bhooke bachon main jo hamare har ore hain,un gareeb be-sahara logon main jink pass na rahne ko ghar hai
na khane ko khana.jinke pass ek purana doormat bhi nahin hai jisko bicha kar wo so sakain!!!

achanak mujhe kuch din pahle akhbaar main padi huee kuch khabrain yaad ayi.kisi bhakt ne shirdi sai baba k mandir main 100kg ka sinhaasan chadaya tha.
ek aur bhakt ne tirupati bajaji ko heeron se jada hua virtue ka cell ph secretly donate kiya tha.(bhagwan ko bhi cell ph ki zaroorat padti hai kya?)koi un bhakt se
pooche is cell ph k sirf ek heere se kitne bhooke insano ka pet bhar sakta hai,kitne anpad bache school ja sakte hai.kitne gareebon ko ghar mil sakta hai?

hum bhagwan ko kush karne k liye vrat,upwas.pooja-path kya kuch nahin karte.kabhi kabhi to 9-10 din lagatar! kya hum un 9 dino main kuch gareeb anath
bachon ko khana nahin khila sakte? kya ye bhagwan ki pooja se badkar nahin? hazaron,lakhon rupaye hum devi-devtaon ki moorty banane maine kharch
kar dete hain,fir wahi moorti hum tyohaar khatam hone par khushi se pani main baha dete hain wahi kisi anathashram ko daan dene main ya kisi bache ki
padai ko sponsor karne main kyun itna sochte hain?! tan,mun,dhan se bhagwan ki sewa karne k jagah hum bhagwan k banaye un zarooratmand insano k liye
kyun nahin tan,mun,dhan lagate.

achanak mujhe yaad aya. maine sadak pe lage ek board se besahara bachon k ek shelter ka no. liya tha.kyun main nahin gayi aaj tak wahan...?khade kahde maine
us din ka doosra faisla kiya.aaj hi wahan baat karoongi aur jald hi bachon k liye kuch zaroor karoongi.

vicharon k silsila khatam nahin hota agar ek aur awaz muje wapas nahin kheenchati."mom we r leaving"meri dono betiyan darwaze per thi school jane k liye tyar
"wow mom! thats a nice door mat"choti ne kaha. "acha kyun nahin hoga.usmain bhagwan jo hain." maine muskurate huey socha aur ghar k ander aa gayi.

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. streamlined and rapid flow of thoughts i must say .. you raised some of the good points that people generally do not keep in their minds .. they will agree to your thoughts but won't follow them .... so toh remind such things its really a good way to make them keep these things in their mind for a long .. thanks for writing .. be more frequent ...

    ReplyDelete
  3. Ruchi Di,
    amazing!!!!!!!!!!!!
    liked your this writing...with a lovely thought.
    BRAVO!!!!!!!!

    ReplyDelete