Showing posts with label kavita. Show all posts
Showing posts with label kavita. Show all posts

Oct 21, 2011

हाँ शायद नशा ही है !!


किसी की आखें है प्यार क नशे में धुन्द्लाई सी,
किसी की चाल है पैसे क नशे में इतराई सी,
कोई है काम के नशे में है खोया खोया,
किसी को है इस जवानी का नशा थोडा थोडा |

लत है नशे की,
या जिन्दगी अहेसास के साथ जीने का खौफ है तुम्हे,
अपनी जिन्दगी से शिकायत है की,
किसी की सुझाई जिन्दगी पाने की दरकार है तुम्हे |

क्यूँ  नहीं बढती है यह घडी लम्हा लम्हा कर के,  
क्यूँ निकल जाते है साल हमारे किसी चीज़ का इंतज़ार करते करते,
क्यूँ नहीं हो पाता है प्यार अपनी खुद की चीजों से,
क्यूँ आज भी एक नशे की जरुरत है अपने खयालो से भागने क लिए |

हो नशा तो हो जिन्दगी जीने का,
हर लम्हे को अपना कर लेने का,
हर अहसास को एक नाम दे देने का,
हर मुस्कराहट को एक पैगाम समझ लेने का,
हर याद को एक हीरा समझ लेने का,
                                                        हर रिश्ते को एक पहेचन दे देने का,
हिचकी को किसी का प्यार समझ लेने का ||


Jul 19, 2010

KYA SACH MUCH MEHANGI HAIN KHUSHIYAN

main sochoon kabhi akele main
jeevan k rele-pele main
kya sachmuch mehangi hain khushiyan?
ya maang hamari jyada hai.

har subah wahi munbhavan hai jo jeevan lekar atee hai,
kya rang chandni ka badla jo mun ko sheetal karti hai?
kya aaj hawa naraz huee,phoolon ne khilna chod diya?
ya kya nadiyon ne jharno ne masti main behna chod diya?
panchi ab pahle jaisa chu-chu ka shor nahin karte,
ya badal aaj shararat se barish is ore nahin karte?

jab koi chota bacha,yun hi dekhe aur muskaye
koi apna ya gair koi,asheerwad ek de jaye
choti si kisi zaroorat ko poora karna asan bane
kyun na bemani si ye baatain,khushiyon ka saman bane!

jo pyara ho wo pass rahe
'kuch acha hoga' ye aas rahe
koi wazah mile na rone ko
karan kum hai kush hone ko??

kya hai khushiyon ki paribhasha
kyun itni mushkil wo bhasha
fir kyun koi ye kehta hai
chota sa dil choti asha!!

kya paimana hai khushiyon ka
haan! itna mile to kafi hai
thoda kum ho to mafi hai
na mile to nainsaafi hai!!

ye prashn kathin inke uttar,jane koi kab layega
khushiyon ki ghum ki ulat-fer,ye jeevan chalta jayega!

main sochoon kabhi akele main........

ruchi rawat

Jun 27, 2010

tushar... as u turned 25 today:)

bachpan kab ka peeche choota,ab hain jeevan k hain rang naye
nayi subah naya janmdiwas,har din jeene k dnang naye.

hai aaj tumhara janmdiwas,beete poore pachees(25)varsh,
khush rahi sada tan se mun se,faile jeewan main sada harsh.

ashirwad badon ka ho,choton se hardam pyar mile,
jab jeeto khushi manana tum,na gum karna jo haar mile.

jeewan ki bhool-bhuliya main sukh-dukh to aate jate hain,
maan sada unka rakhna jo dukh main sath nibhate hain.

ho varshganth shub-mangalmay,din beete masti aur pyar bhara.
asha hai mun ko bhayega,ye chota sa uphaar mera.

HAPPY BIRHTDAY

RUCHI:)

Feb 22, 2010

HOLI

lo ayi hai fir se holi
dikhte hain rang gulaal wahi,neele,peele aur laal wahi
per kyun badla-badla hai,holi ati har saal wahi.

har chehra hansta dikhta hai,per wo pahle si baat nahin,
yun kush dikhne ki koshish main,wo raunak wo jazbaat nahin,
ab rishte uljhe-uljhe hain,har cheez banawat lagti hai,
wo pahle jaisa pyar kahan,wo pahle sa tyohaar kahan?

na rang pyar ka pakka hai aur na wo meethi boli hai.
lo ayi fir se holi hai!!

Jan 29, 2010

EK DOST MERA

ek dost mera hai pyara sa
rehta hai is dharti per,hai is duniya se nyara sa.


ek din usne aaker yun hi mere darwaze dastuk di
kuch parichay thodi nok-jhonk,yu apni dosti shuru hui
wo soorat ka bhi acha hai aur seerat ka bhi acha hai
samjhe hai khud ko bada bahut per kahin ekdum bacha hai.


kabhi chanchal bahte pani sa kabhi hai gambhir samandar sa
kabhi hai kitab sa khula hua kabhi simta ander ander sa
wo khud se baatain karta hai na jane kis se darta hai
kabhi hansta hai is duniya pe kabhi dil hi dil main rota hai.


wo dena chahe pyar bahut per khud pane se bachta hai
kitne shaq shikve tark prashni sab sath liye jo chalta hai
kuch khafa-khafa sa rehta hai ishwar se duniyawalon se
khud hi jawab likh deta hai khud se hi kiye sawalon se.


kahne ko to hai abhi bahut per thoda aur samajhna hai
kuch hona hai usk jaisa kuch usko mujh sa karna hai
hai dua yahi sache dil se jo chahe wo pa jaye wo
khush rahe hanse aur muskaye is jag pe cha jaye wo.


raj rakhoon ye ab keh doon kya uska naam bataoon main?
fir sochoon kya hai namon main ya leke naam bulaoon main?
jo jane usko samajh gaye hai naam bada hi pyara sa
EK DOST MERA HAI PYARA SA IS DUNIYA SE NYARA SA!!
--

Jan 13, 2010

सच है या कोई कहानी है

tuze khuda maana maine,
ibadat mein sar zhukaya ;
aakh band ki toh tera deedar huya,
laga jaise is baar tune muze aajmaya;

liye sath tujhko chala main safar pe,
tha vishwas man main ,thoda sa sahq bhi;
na khwahish thi man main na koi tamanna,
socha,na mangoonga kuch bhi kabhi bhi;

is ghar ko dekhoon ya dil ki sunoon main,
rahan sochta kya jagah tujhko doon main;
ae khuda teri khamosh si wo khudai,
na chaha,jagha fir bhi dil main banai;


toofaano ki ahat thi aur raat amavas si kali,
kya mujhpe giregi ye bijli?main sahma sa ghabraya sa;
per tera bharosa tha mun main koi shaq koi sawal na tha,
toofan ghira,bijli kadki,gahraya raton ka saya;

bijli giri mujhpe hi giri,
mera ghar pal main khaq hua;
jo tera ek bharosa tha,
ghar k sang wo bhi rakh hua;

ab sirf badan pe dhabbe hai ,

aur in aankhon main pani hai;
tera hona ya na hona,

sach hai ya koi kahani hai?

tu qayar hai ya bujdil hai,deta hai kabhi kabhi dokha?
vishwas hua jab maine apna jhulsa hua badan dekha.

dil ka wo kona khali hai jo maine tujhe diya tha kabhi,
ab tera koi nishan nahin,koi yaad koi ehsaas nahin.

fursat se aaker dekh kabhi,jo daag liye main firta hoon;
na aisee khudai baksh kabhi,ab yahi dua bas karta hoon!!!!