main sochoon kabhi akele main
jeevan k rele-pele main
kya sachmuch mehangi hain khushiyan?
ya maang hamari jyada hai.
har subah wahi munbhavan hai jo jeevan lekar atee hai,
kya rang chandni ka badla jo mun ko sheetal karti hai?
kya aaj hawa naraz huee,phoolon ne khilna chod diya?
ya kya nadiyon ne jharno ne masti main behna chod diya?
panchi ab pahle jaisa chu-chu ka shor nahin karte,
ya badal aaj shararat se barish is ore nahin karte?
jab koi chota bacha,yun hi dekhe aur muskaye
koi apna ya gair koi,asheerwad ek de jaye
choti si kisi zaroorat ko poora karna asan bane
kyun na bemani si ye baatain,khushiyon ka saman bane!
jo pyara ho wo pass rahe
'kuch acha hoga' ye aas rahe
koi wazah mile na rone ko
karan kum hai kush hone ko??
kya hai khushiyon ki paribhasha
kyun itni mushkil wo bhasha
fir kyun koi ye kehta hai
chota sa dil choti asha!!
kya paimana hai khushiyon ka
haan! itna mile to kafi hai
thoda kum ho to mafi hai
na mile to nainsaafi hai!!
ye prashn kathin inke uttar,jane koi kab layega
khushiyon ki ghum ki ulat-fer,ye jeevan chalta jayega!
main sochoon kabhi akele main........
ruchi rawat