Jan 29, 2010

EK DOST MERA

ek dost mera hai pyara sa
rehta hai is dharti per,hai is duniya se nyara sa.


ek din usne aaker yun hi mere darwaze dastuk di
kuch parichay thodi nok-jhonk,yu apni dosti shuru hui
wo soorat ka bhi acha hai aur seerat ka bhi acha hai
samjhe hai khud ko bada bahut per kahin ekdum bacha hai.


kabhi chanchal bahte pani sa kabhi hai gambhir samandar sa
kabhi hai kitab sa khula hua kabhi simta ander ander sa
wo khud se baatain karta hai na jane kis se darta hai
kabhi hansta hai is duniya pe kabhi dil hi dil main rota hai.


wo dena chahe pyar bahut per khud pane se bachta hai
kitne shaq shikve tark prashni sab sath liye jo chalta hai
kuch khafa-khafa sa rehta hai ishwar se duniyawalon se
khud hi jawab likh deta hai khud se hi kiye sawalon se.


kahne ko to hai abhi bahut per thoda aur samajhna hai
kuch hona hai usk jaisa kuch usko mujh sa karna hai
hai dua yahi sache dil se jo chahe wo pa jaye wo
khush rahe hanse aur muskaye is jag pe cha jaye wo.


raj rakhoon ye ab keh doon kya uska naam bataoon main?
fir sochoon kya hai namon main ya leke naam bulaoon main?
jo jane usko samajh gaye hai naam bada hi pyara sa
EK DOST MERA HAI PYARA SA IS DUNIYA SE NYARA SA!!
--

Jan 13, 2010

सच है या कोई कहानी है

tuze khuda maana maine,
ibadat mein sar zhukaya ;
aakh band ki toh tera deedar huya,
laga jaise is baar tune muze aajmaya;

liye sath tujhko chala main safar pe,
tha vishwas man main ,thoda sa sahq bhi;
na khwahish thi man main na koi tamanna,
socha,na mangoonga kuch bhi kabhi bhi;

is ghar ko dekhoon ya dil ki sunoon main,
rahan sochta kya jagah tujhko doon main;
ae khuda teri khamosh si wo khudai,
na chaha,jagha fir bhi dil main banai;


toofaano ki ahat thi aur raat amavas si kali,
kya mujhpe giregi ye bijli?main sahma sa ghabraya sa;
per tera bharosa tha mun main koi shaq koi sawal na tha,
toofan ghira,bijli kadki,gahraya raton ka saya;

bijli giri mujhpe hi giri,
mera ghar pal main khaq hua;
jo tera ek bharosa tha,
ghar k sang wo bhi rakh hua;

ab sirf badan pe dhabbe hai ,

aur in aankhon main pani hai;
tera hona ya na hona,

sach hai ya koi kahani hai?

tu qayar hai ya bujdil hai,deta hai kabhi kabhi dokha?
vishwas hua jab maine apna jhulsa hua badan dekha.

dil ka wo kona khali hai jo maine tujhe diya tha kabhi,
ab tera koi nishan nahin,koi yaad koi ehsaas nahin.

fursat se aaker dekh kabhi,jo daag liye main firta hoon;
na aisee khudai baksh kabhi,ab yahi dua bas karta hoon!!!!